har ghadi barase hai baadal mujh mein
kaun hai pyaas se paagal mujh mein
tum ne ro-dho ke tasalli kar li
phailta hai abhi kaajal mujh mein
main adhoora sa hoon us ke andar
aur vo shakhs mukammal mujh mein
chup ki deewaron se sar phode hai
jo ik awaaz hai paagal mujh mein
main tujhe sahal bahut lagta hoon
tu kabhi chaar qadam chal mujh mein
muzda aankhon ko ki phir se footi
ik naye khwaab ki konpal mujh mein
kaatne hain kai ban-baas yahin
ug raha hai jo ye jungle mujh mein
aag mein jalta hoon jab jab atahar
aur aa jaata hai kuchh bal mujh mein
हर घड़ी बरसे है बादल मुझ में
कौन है प्यास से पागल मुझ में
तुम ने रो-धो के तसल्ली कर ली
फैलता है अभी काजल मुझ में
मैं अधूरा सा हूँ उस के अंदर
और वो शख़्स मुकम्मल मुझ में
चुप की दीवारों से सर फोड़े है
जो इक आवाज़ है पागल मुझ में
मैं तुझे सहल बहुत लगता हूँ
तू कभी चार क़दम चल मुझ में
मुज़्दा आँखों को कि फिर से फूटी
इक नए ख़्वाब की कोंपल मुझ में
काटने हैं कई बन-बास यहीं
उग रहा है जो ये जंगल मुझ में
आग में जलता हूँ जब जब 'अतहर'
और आ जाता है कुछ बल मुझ में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Athar Zia
our suggestion based on Mirza Athar Zia
As you were reading Aag Shayari Shayari