is qadar bhi aazmaaya hai | इस क़दर भी आज़माया है

  - Ankur Mishra

is qadar bhi aazmaaya hai
naam se uske bulaaya hai

chhod doon kaise vo rasta main
ghar ye mushkil se banaya hai

aaj bhi hoon yaad main usko
daakiya khat jiska laaya hai

ab karein kya shikwa ham usse
kaun sa hamne nibhaaya hai

इस क़दर भी आज़माया है
नाम से उसके बुलाया है

छोड़ दूँ कैसे वो रस्ता मैं
घर ये मुश्किल से बनाया है

आज भी हूँ याद मैं उसको
डाकिया ख़त जिसका लाया है

अब करें क्या शिकवा हम उससे
कौन सा हमने निभाया है

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari