hasi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya
ye ik jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya
utha to ja bhi chuka tha ajeeb mehmaantha
sadaaende ke mujhe neend se jaga bhi gaya
gazab hua jo andhere mein jal uthi bijli
badan kisi ka tilismaat kuchh dikha bhi gaya
hawa thi gahri ghatta thi hina ki khushboo thi
ye ek raat ka qissa lahu rula bhi gaya
chalo muneer chalen ab yahaanrahen bhi to kya
vo sang-dil to yahaan se kahi chala bhi gaya
हँसी छुपा भी गया और नज़र मिला भी गया
ये इक झलक का तमाशा जिगर जला भी गया
उठा तो जा भी चुका था अजीब मेहमाँ था
सदाएँ दे के मुझे नींद से जगा भी गया
ग़ज़ब हुआ जो अँधेरे में जल उठी बिजली
बदन किसी का तिलिस्मात कुछ दिखा भी गया
न आया कोई लब-ए-बाम शाम ढलने लगी
वुफ़ूर-ए-शौक़ से आँखों में ख़ून आ भी गया
हवा थी गहरी घटा थी हिना की ख़ुशबू थी
ये एक रात का क़िस्सा लहू रुला भी गया
चलो 'मुनीर' चलें अब यहाँ रहें भी तो क्या
वो संग-दिल तो यहाँ से कहीं चला भी गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Muneer Niyazi
our suggestion based on Muneer Niyazi
As you were reading Khushi Shayari Shayari