vo to khush-boo hai hawaon mein bikhar jaayega
mas'ala phool ka hai phool kidhar jaayega
ham to samjhe the ki ik zakham hai bhar jaayega
kya khabar thi ki rag-e-jaan mein utar jaayega
vo hawaon ki tarah khaana-b-jan firta hai
ek jhonka hai jo aayega guzar jaayega
vo jab aayega to phir us ki rifaqat ke liye
mausam-e-gul mere aangan mein thehar jaayega
aakhirsh vo bhi kahi ret pe baithi hogi
tera ye pyaar bhi dariya hai utar jaayega
mujh ko tahzeeb ke barzakh ka banaya waaris
jurm ye bhi mere ajdaad ke sar jaayega
वो तो ख़ुश-बू है हवाओं में बिखर जाएगा
मसअला फूल का है फूल किधर जाएगा
हम तो समझे थे कि इक ज़ख़्म है भर जाएगा
क्या ख़बर थी कि रग-ए-जाँ में उतर जाएगा
वो हवाओं की तरह ख़ाना-ब-जाँ फिरता है
एक झोंका है जो आएगा गुज़र जाएगा
वो जब आएगा तो फिर उस की रिफ़ाक़त के लिए
मौसम-ए-गुल मिरे आँगन में ठहर जाएगा
आख़िरश वो भी कहीं रेत पे बैठी होगी
तेरा ये प्यार भी दरिया है उतर जाएगा
मुझ को तहज़ीब के बर्ज़ख़ का बनाया वारिस
जुर्म ये भी मिरे अज्दाद के सर जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Love Shayari Shayari