ye mo'jiza bhi mohabbat kabhi dikhaaye mujhe | ये मो'जिज़ा भी मोहब्बत कभी दिखाए मुझे

  - Qateel Shifai

ye mo'jiza bhi mohabbat kabhi dikhaaye mujhe
ki sang tujh pe gire aur zakhm aaye mujhe

main apne paanv tale raundta hoon saaye ko
badan mera hi sahi dopahar na bhaaye mujhe

b-rang-e-ood milegi use meri khushboo
vo jab bhi chahe bade shauq se jalaae mujhe

main ghar se teri tamannaa pahan ke jab nikloon
barhana shehar mein koii nazar na aaye mujhe

wahi to sab se ziyaada hai nuqta-cheen mera
jo muskuraa ke hamesha gale lagaaye mujhe

main apne dil se nikaaloon khayal kis kis ka
jo tu nahin to koii aur yaad aaye mujhe

zamaana dard ke sehra tak aaj le aaya
guzaar kar tiri zulfon ke saaye saaye mujhe

vo mera dost hai saare jahaan ko hai ma'aloom
dagaa kare vo kisi se to sharm aaye mujhe

vo meherbaan hai to iqaar kyun nahin karta
vo bad-gumaan hai to sau baar aazmaaye mujhe

main apni zaat mein neelaam ho raha hoon qatil
gham-e-hayaat se kah do khareed laaye mujhe

ये मो'जिज़ा भी मोहब्बत कभी दिखाए मुझे
कि संग तुझ पे गिरे और ज़ख़्म आए मुझे

मैं अपने पाँव तले रौंदता हूँ साए को
बदन मिरा ही सही दोपहर न भाए मुझे

ब-रंग-ए-ऊद मिलेगी उसे मिरी ख़ुश्बू
वो जब भी चाहे बड़े शौक़ से जलाए मुझे

मैं घर से तेरी तमन्ना पहन के जब निकलूँ
बरहना शहर में कोई नज़र न आए मुझे

वही तो सब से ज़ियादा है नुक्ता-चीं मेरा
जो मुस्कुरा के हमेशा गले लगाए मुझे

मैं अपने दिल से निकालूँ ख़याल किस किस का
जो तू नहीं तो कोई और याद आए मुझे

ज़माना दर्द के सहरा तक आज ले आया
गुज़ार कर तिरी ज़ुल्फ़ों के साए साए मुझे

वो मेरा दोस्त है सारे जहाँ को है मा'लूम
दग़ा करे वो किसी से तो शर्म आए मुझे

वो मेहरबाँ है तो इक़रार क्यूँ नहीं करता
वो बद-गुमाँ है तो सौ बार आज़माए मुझे

मैं अपनी ज़ात में नीलाम हो रहा हूँ 'क़तील'
ग़म-ए-हयात से कह दो ख़रीद लाए मुझे

  - Qateel Shifai

More by Qateel Shifai

As you were reading Shayari by Qateel Shifai

Similar Writers

our suggestion based on Qateel Shifai

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari