titliyon ka rang ho ya jhoomte baadal ka rang | तितलियों का रंग हो या झूमते बादल का रंग - Qateel Shifai

titliyon ka rang ho ya jhoomte baadal ka rang
hum ne har ik rang ko jaana tire aanchal ka rang

teri aankhon ki chamak hai ya sitaaron ki ziya
raat ka hai ghup andhera ya tire kaajal ka rang

dhadkano ke taal par vo haal apne dil ka hai
jaise gori ke thirakte paanv mein paayal ka rang

fenkna tum soch kar lafzon ka ye karwa gulaal
phail jaata hai kabhi sadiyon pe bhi ik pal ka rang

aah ye rangeen mausam khoon ki barsaat ka
chha raha hai aql par jazbaat ki halchal ka rang

ab to shabnam ka har ik moti hai kankar ki tarah
haan usi gulshan pe chaaya tha kabhi makhmal ka rang

phir rahe hain log haathon mein liye khanjar khule
kooche kooche mein ab aata hai nazar maqtal ka rang

chaar jaanib jis ki raanaai ke charche hain qatil
jaane kab dekhenge hum us aane waali kal ka rang

तितलियों का रंग हो या झूमते बादल का रंग
हम ने हर इक रंग को जाना तिरे आँचल का रंग

तेरी आँखों की चमक है या सितारों की ज़िया
रात का है घुप अँधेरा या तिरे काजल का रंग

धड़कनों के ताल पर वो हाल अपने दिल का है
जैसे गोरी के थिरकते पाँव में पायल का रंग

फेंकना तुम सोच कर लफ़्ज़ों का ये कड़वा गुलाल
फैल जाता है कभी सदियों पे भी इक पल का रंग

आह ये रंगीन मौसम ख़ून की बरसात का
छा रहा है अक़्ल पर जज़्बात की हलचल का रंग

अब तो शबनम का हर इक मोती है कंकर की तरह
हाँ उसी गुलशन पे छाया था कभी मख़मल का रंग

फिर रहे हैं लोग हाथों में लिए ख़ंजर खुले
कूचे कूचे में अब आता है नज़र मक़्तल का रंग

चार जानिब जिस की रानाई के चर्चे हैं 'क़तील'
जाने कब देखेंगे हम उस आने वाली कल का रंग

- Qateel Shifai
1 Like

Afsos Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qateel Shifai

As you were reading Shayari by Qateel Shifai

Similar Writers

our suggestion based on Qateel Shifai

Similar Moods

As you were reading Afsos Shayari Shayari