khula hai jhooth ka bazaar aao sach bolein | खुला है झूट का बाज़ार आओ सच बोलें - Qateel Shifai

khula hai jhooth ka bazaar aao sach bolein
na ho bala se khareedaar aao sach bolein

sukoot chaaya hai insaaniyat ki qadron par
yahi hai mauqa-e-izhaar aao sach bolein

hamein gawaah banaya hai waqt ne apna
b-naam-e-azmat-e-kirdaar aao sach bolein

suna hai waqt ka haakim bada hi munsif hai
pukaar kar sar-e-darbaar aao sach bolein

tamaam shehar mein kya ek bhi nahin mansoor
kaheinge kya rasn-o-daar aao sach bolein

baja ki khoo-e-wafa ek bhi haseen mein nahin
kahaan ke ham bhi wafadar aao sach bolein

jo wasf ham mein nahin kyun karein kisi mein talash
agar zameer hai bedaar aao sach bolein

chhupaaye se kahi chhupte hain daagh chehre ke
nazar hai aaina-bardaar aao sach bolein

qatil jin pe sada pattharon ko pyaar aaya
kidhar gaye vo gunahgaar aao sach bolein

खुला है झूट का बाज़ार आओ सच बोलें
न हो बला से ख़रीदार आओ सच बोलें

सुकूत छाया है इंसानियत की क़द्रों पर
यही है मौक़ा-ए-इज़हार आओ सच बोलें

हमें गवाह बनाया है वक़्त ने अपना
ब-नाम-ए-अज़्मत-ए-किरदार आओ सच बोलें

सुना है वक़्त का हाकिम बड़ा ही मुंसिफ़ है
पुकार कर सर-ए-दरबार आओ सच बोलें

तमाम शहर में क्या एक भी नहीं मंसूर
कहेंगे क्या रसन-ओ-दार आओ सच बोलें

बजा कि ख़ू-ए-वफ़ा एक भी हसीं में नहीं
कहाँ के हम भी वफ़ादार आओ सच बोलें

जो वस्फ़ हम में नहीं क्यूँ करें किसी में तलाश
अगर ज़मीर है बेदार आओ सच बोलें

छुपाए से कहीं छुपते हैं दाग़ चेहरे के
नज़र है आइना-बरदार आओ सच बोलें

'क़तील' जिन पे सदा पत्थरों को प्यार आया
किधर गए वो गुनहगार आओ सच बोलें

- Qateel Shifai
0 Likes

Awaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qateel Shifai

As you were reading Shayari by Qateel Shifai

Similar Writers

our suggestion based on Qateel Shifai

Similar Moods

As you were reading Awaaz Shayari Shayari