chaudhvin shab ko sar-e-baam vo jab aata hai
maah-e-kaamil bhi use dekh ke sharmaata hai
main use chaand kahoon phool kahoon ya shabnam
uska hi chehra har ik shay mein nazar aata hai
raqs karti hain bahaarein bhi tere aane se
husn mausam ka zara aur nikhar jaata hai
kitne alfaaz machalte hain sanwarne ke liye
jab khayaalon mein koii sher ubhar aata hai
main manaauun to bhala kaise manaauun usko
mera mehboob to bachchon sa machal jaata hai
jab utha leti hai maa haath duaon ke liye
raaste se mere toofaan bhi hat jaata hai
चौदवीं शब को सर-ए-बाम वो जब आता है
माह-ए-कामिल भी उसे देख के शरमाता है
मैं उसे चाँद कहूँ फूल कहूँ या शबनम
उसका ही चेहरा हर इक शय में नज़र आता है
रक़्स करती हैं बहारें भी तेरे आने से
हुस्न मौसम का ज़रा और निखर जाता है
कितने अल्फ़ाज़ मचलते हैं सँवरने के लिए
जब ख़यालों में कोई शेर उभर आता है
मैं मनाऊँ तो भला कैसे मनाऊँ उसको
मेरा महबूब तो बच्चों सा मचल जाता है
जब उठा लेती है माँ हाथ दुआओं के लिए
रास्ते से मेरे तूफ़ान भी हट जाता है
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading undefined Shayari