mere watan mein aate hain saare jahaan se log | मेरे वतन में आते हैं सारे जहाँ से लोग


  - SALIM RAZA REWA

mere watan mein aate hain saare jahaan se log
rahte hain is zameen pe amn-o-amaan se log

lagta hai kuchh khuloos-o-mohabbat kii hai kami
kyun uth ke ja rahe hain tere darmiyaan se log

mera khuloos meri mohabbat ko dekhkar
judte gaye hain aa ke mere kaarwaan se log

kaisa hai qahar kaisi tabaahi mere khuda
bichhde hue hain apnon se apne makaan se log

hindi agar hai jism to urdu hai uski jaan
karte hain pyaar aaj bhi dono zubaan se log

nazr-e-fasaad hota raha ghar mera raza
nikle nahin mohalle mein apne makaan se log

मेरे वतन में आते हैं सारे जहाँ से लोग

रहते हैं इस ज़मीन पे अम्न-ओ-अमाँ से लोग


लगता है कुछ ख़ुलूस-ओ-मोहब्बत की है कमी

क्यूँ उठ के जा रहे हैं तेरे दरमियाँ से लोग



मेरा ख़ुलूस मेरी मोहब्बत को देखकर
जुड़ते गए हैं आ के मेरे कारवाँ से लोग



कैसा है क़हर कैसी तबाही मेरे ख़ुदा
बिछड़े हुए हैं अपनों से अपने मकाँ से लोग



हिन्दी अगर है जिस्म तो उर्दू है उसकी जान 

करते हैं प्यार आज भी दोनों ज़ुबाँ से लोग



नज़्र-ए-फ़साद होता रहा घर मेरा 'रज़ा'
निकले नहीं मुहल्ले में अपने मकाँ से लोग

  - SALIM RAZA REWA

More by SALIM RAZA REWA

As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA

Similar Writers

our suggestion based on SALIM RAZA REWA

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari