nahin kuchh bhi chhupaana chahiye tha
agar gham tha bataana chahiye tha
meri khwaahish thi bas do gaz zameen kii
unhen saara zamaana chahiye tha
mujhe apna banaane ke liye to
na maal-o-zar khazana chahiye tha
samajh leta nigaahon ka ishaara
zara sa muskurana chahiye tha
mahak jaata ye jism-o-jaan tumhaara
mohabbat mein nahaana chahiye tha
नहीं कुछ भी छुपाना चाहिए था
अगर ग़म था बताना चाहिए था
मेरी ख़्वाहिश थी बस दो गज़ ज़मीं की
उन्हें सारा ज़माना चाहिए था
मुझे अपना बनाने के लिए तो
न माल-ओ-ज़र ख़ज़ाना चाहिए था
समझ लेता निगाहों का इशारा
ज़रा सा मुस्कुराना चाहिए था
महक जाता ये जिस्म-ओ-जाँ तुम्हारा
मोहब्बत में नहाना चाहिए था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading Udas Shayari Shayari