chhod kar dar tera ham kidhar jaayenge | छोड़ कर दर तेरा हम किधर जाएँगे

  - SALIM RAZA REWA

chhod kar dar tera ham kidhar jaayenge
bin tere aah bhar-bhar ke mar jaayenge


teri aamad kii jis dam sunegen khabar

raah mein phool ban kar bikhar jaayenge


mujhpe nazr-e-karam jis ghadi ho gai
mere daaman muraadon se bhar jaayenge


aapne fer li hai nazar phir to ab

saare ilzaam mere hi sar jaayenge
ban sanwar ke agar aap aa jaayen to

bazm mein sab ke chehre utar jaayenge
ishq mushkil bahut hai suna hai magar

ishq mein phir bhi had se guzar jaayenge

छोड़ कर दर तेरा हम किधर जाएँगे
बिन तेरे आह भर-भर के मर जाएँगे

 
तेरी आमद की जिस दम सुनेगें ख़बर

राह में फूल बन कर बिखर जाएँगे
 

मुझपे नज़्र-ए-करम जिस घड़ी हो गई
मेरे दामन मुरादों से भर जाएँगे

 
आपने फेर ली है नज़र फिर तो अब

सारे इल्ज़ाम मेरे ही सर जाएँगे
बन सँवर के अगर आप आ जाएँ तो

बज़्म में सब के चेहरे उतर जाएँगे
इश्क़ मुश्किल बहुत है सुना है मगर

इश्क़ में फिर भी हद से गुज़र जाएँगे

  - SALIM RAZA REWA

More by SALIM RAZA REWA

As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA

Similar Writers

our suggestion based on SALIM RAZA REWA

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari