tu gham bhej de ya khushi bhej de
mere haq mein hai jo wahi bhej de
muattar bana de fazaaon ko jo
hawaon mein vo taazgi bhej de
mita de jo nafrat kii har teergi
charaagon ko vo raushni bhej de
nahin koii bakshish ki saamaan khuda
mere ghar koii muttaqi bhej de
suna kar jise khatm ho nafratein
mohabbat kii vo baansuri bhej de
fazaaon mein mahke ye mera sukhun
khayaalon mein vo shayari bhej de
har ik shay ko jisne hai paida kiya
vo patthar mein bhi zindagi bhej de
jo khwaabon mein aati hai akshar mere
haqeeqat mein bhi vo pari bhej de
तू ग़म भेज दे या ख़ुशी भेज दे
मेरे हक़ में है जो वही भेज दे
मुअत्तर बना दे फ़ज़ाओं को जो
हवाओं में वो ताज़गी भेज दे
मिटा दे जो नफ़रत की हर तीरगी
चराग़ों को वो रौशनी भेज दे
नहीं कोई बख़्शिश कि सामाँ ख़ुदा
मेरे घर कोई मुत्तक़ी भेज दे
सुना कर जिसे ख़त्म हो नफ़रतें
मोहब्बत की वो बाँसुरी भेज दे
फ़ज़ाओं में महके ये मेरा सुख़न
ख़यालों में वो शायरी भेज दे
हर इक शय को जिसने है पैदा किया
वो पत्थर में भी ज़िंदगी भेज दे
जो ख़्वाबों में आती है अक्सर मेरे
हक़ीक़त में भी वो परी भेज दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading Child labour Shayari Shayari