nichhawar jis pe maine zindagi kii
use parwa nahin meri khushi kii
samajhta hi nahin jo dard mera
nigaahon ne usi kii bandagi kii
wahi ik shakhs jo kuchh bhi nahin hai
har ik mushkil mein usne rahbari kii
usi ka rang hai mere sukhun mein
usi se aabroo hai shayari kii
ujaale gir pade qadmon pe aakar
andheron se jo maine dosti kii
use paagal bana daala kisi ne
kabhi jo aabroo thi is gali kii
har ik zarre ka jo khaliq hai yaaro
ibadat kar raha hoon main usi kii
निछावर जिस पे मैंने ज़िंदगी की
उसे पर्वा नहीं मेरी ख़ुशी की
समझता ही नहीं जो दर्द मेरा
निगाहों ने उसी की बंदगी की
वही इक शख़्स जो कुछ भी नहीं है
हर इक मुश्किल में उसने रहबरी की
उसी का रंग है मेरे सुख़न में
उसी से आबरू है शायरी की
उजाले गिर पड़े क़दमों पे आकर
अँधेरों से जो मैंने दोस्ती की
उसे पागल बना डाला किसी ने
कभी जो आबरू थी इस गली की
हर इक ज़र्रे का जो ख़ालिक है यारो
इबादत कर रहा हूँ मैं उसी की
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading undefined Shayari