jidhar dekho udhar mehnat-kashon kii aisi haalat hai
gareebon kii jamaaton par ameeron kii hukoomat hai
gareebon ke gharo mein rahbaro'n dekho kabhi ja kar
wahan khushiyaan nahin hain sirf faaka aur gurbat hai
kahin ismat-firoshi hai kahin nafrat kahin dahshat
zamaane mein jidhar dekho qayaamat hi qayaamat hai
kabhi kaliyon ka muskaana kabhi phoolon ka murjhaana
ye qudrat ke taqaze hain yahi gulshan kii qismat hai
raza saahib chalo goota-zani kii maskh karte hain
samundar ke khazaane mein badi anmol daulat hai
जिधर देखो उधर मेहनत-कशों की ऐसी हालत है
ग़रीबों की जमातों पर अमीरों की हुकूमत है
ग़रीबों के घरों में रहबरों देखो कभी जा कर
वहाँ ख़ुशियाँ नहीं हैं सिर्फ़ फ़ाका और ग़ुर्बत है
कहीं इस्मत-फ़रोशी है कहीं नफ़रत कहीं दहशत
ज़माने में जिधर देखो क़यामत ही क़यामत है
कभी कलियों का मुस्काना कभी फूलों का मुरझाना
ये क़ुदरत के तक़ाज़े हैं यही गुलशन की क़िस्मत है
'रज़ा साहिब' चलो ग़ोता-ज़नी की मश्क़ करते हैं
समुन्दर के ख़ज़ाने में बड़ी अनमोल दौलत है
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading undefined Shayari