jo bhi kehne ko meer kahte hain
baat utni wazeer kahte hain
muttaqi karke deen ka sauda
khud ko ahle zameer kahte hain
baadshaahon se kam nahin rutba
aap khud ko faqeer kahte hain
log aakar fareb ki zad mein
but-paraston ko peer kahte hain
ishq ho aarzi to mat karna
baat itni kabeer kahte hain
ishq ki dor se yun baandha hai
log mujhko aseer kahte hain
ek misra to kah ke dikhlaao
jis tarah sher meer kahte hain
peer mera ali hai laasaani
peer bhi jisko meer kahte hain
जो भी कहने को मीर कहते हैं
बात उतनी वज़ीर कहते हैं
मुत्तक़ी करके दीन का सौदा
ख़ुद को अहले ज़मीर कहते हैं
बादशाहों से कम नहीं रुतबा
आप ख़ुद को फ़क़ीर कहते हैं
लोग आकर फ़रेब की ज़द में
बुत-परस्तों को पीर कहते हैं
इश्क़ हो आरज़ी तो मत करना
बात इतनी कबीर कहते हैं
इश्क़ की डोर से यूँ बाँधा है
लोग मुझको असीर कहते हैं
एक मिसरा तो कह के दिखलाओ
जिस तरह शेर मीर कहते हैं
पीर मेरा अली है लासानी
पीर भी जिसको मीर कहते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shadan Ahsan Marehrvi
our suggestion based on Shadan Ahsan Marehrvi
As you were reading Aadmi Shayari Shayari