ab to ghar mujhko ghar nahin lagta
dil mera ik pahar nahin lagta
zindagi ab saza si lagti hai
maut se bhi to dar nahin lagta
chhod kar jabse tum gaye murshid
achha ab rahguzar nahin lagta
kaise mumkin ho laut aao tum
ret mein to shajar nahin lagta
vo jo ik ped tha haraa usme
koi bhi ab samar nahin lagta
qaidkhaana hai ghar tumaare bin
ghar zara sa bhi ghar nahin lagta
muntaqil jab se ho gaye ho tum
dil hamaara idhar nahin lagta
अब तो घर मुझको घर नहीं लगता
दिल मेरा इक पहर नहीं लगता
ज़िन्दगी अब सज़ा सी लगती है
मौत से भी तो डर नहीं लगता
छोड़ कर जबसे तुम गए मुर्शिद
अच्छा अब रहगुज़र नहीं लगता
कैसे मुमकिन हो लौट आओ तुम
रेत में तो शजर नहीं लगता
वो जो इक पेड़ था हरा उसमे
कोई भी अब समर नहीं लगता
क़ैदख़ाना है घर तुमारे बिन
घर ज़रा सा भी घर नहीं लगता
मुन्तक़िल जब से हो गए हो तुम
दिल हमारा इधर नहीं लगता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shadan Ahsan Marehrvi
our suggestion based on Shadan Ahsan Marehrvi
As you were reading Khudkushi Shayari Shayari