zahar-e-gham khoob piya ham ne sharaabon se bache
jhel kar kitne azaabon ko azaabon se bache
sochne baitheen to soche hi chale jaate hain
khauf kaanton ka ajab tha ki gulaabon se bache
kitne ma'soom the chehre nahin dekhe tum ne
vo jo rah kar bhi naqaabon mein naqaabon se bache
jaagta ho to na dekhe koi mahlon ki taraf
kis tarah soya hua aadmi khwaabon se bache
is hikaayat mein koi jhooth na kar de shaamil
is mein sacchaai agar hai to kitaabon se bache
kaash ult de koi sehra mein samundar la kar
qaafila doob hi jaaye to saraabo se bache
ज़हर-ए-ग़म ख़ूब पिया हम ने शराबों से बचे
झेल कर कितने अज़ाबों को अज़ाबों से बचे
सोचने बैठें तो सोचे ही चले जाते हैं
ख़ौफ़ काँटों का अजब था कि गुलाबों से बचे
कितने मा'सूम थे चेहरे नहीं देखे तुम ने
वो जो रह कर भी नक़ाबों में नक़ाबों से बचे
जागता हो तो न देखे कोई महलों की तरफ़
किस तरह सोया हुआ आदमी ख़्वाबों से बचे
इस हिकायत में कोई झूट न कर दे शामिल
इस में सच्चाई अगर है तो किताबों से बचे
काश उलट दे कोई सहरा में समुंदर ला कर
क़ाफ़िला डूब ही जाए तो सराबों से बचे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shakeel Gwaliari
our suggestion based on Shakeel Gwaliari
As you were reading Rose Shayari Shayari