raaz ab saare bataane hain mujhe
zakhm sab apne dikhaane hain mujhe
kah na paaoonga use phir haal-e-dil
harf kaaghaz pe sajaane hain mujhe
kar yaqeen vaade pe uske aaj bhi
nain apne phir thakaane hain mujhe
jodne hain chand sikke roz hi
aur bacche bhi padaane hain mujhe
meri jitni haisiyat hai bazm mein
sher utne hi sunaane hain mujhe
pasta burger samose chhod kar
daal chaawal ghar ke khaane hain mujhe
jodne hain roz tukde dhoop ke
syaah kone jagmagane hain mujhe
choodiyaan kangan use bhaate nahin
kaan ke jhumke dilaane hain mujhe
aage badhna hi mera maqsad nahin
jo giren vo bhi uthaane hain mujhe
kar raha hoon pairavi gulshan kii to
phool patte sab churaane hain mujhe
koii bechaini koii ujlat nahin
sher dheere se pakaane hain mujhe
राज़ अब सारे बताने हैं मुझे
ज़ख़्म सब अपने दिखाने हैं मुझे
कह न पाऊँगा उसे फिर हाल-ए-दिल
हर्फ़ काग़ज़ पे सजाने हैं मुझे
कर यक़ीं वादे पे उसके आज भी
नैन अपने फिर थकाने हैं मुझे
जोड़ने हैं चंद सिक्के रोज़ ही
और बच्चे भी पढ़ाने हैं मुझे
मेरी जितनी हैसियत है बज़्म में
शेर उतने ही सुनाने हैं मुझे
पास्ता बर्गर समोसे छोड़ कर
दाल चावल घर के खाने हैं मुझे
जोड़ने हैं रोज टुकड़े धूप के
स्याह कोने जगमगाने हैं मुझे
चूड़ियाँ कंगन उसे भाते नहीं
कान के झुमके दिलाने हैं मुझे
आगे बढ़ना ही मेरा मक़सद नहीं
जो गिरें वो भी उठाने हैं मुझे
कर रहा हूँ पैरवी गुलशन की तो
फूल पत्ते सब चुराने हैं मुझे
कोई बैचैनी कोई उजलत नहीं
शेर धीरे से पकाने हैं मुझे
As you were reading Shayari by Shivang Tiwari
our suggestion based on Shivang Tiwari
As you were reading undefined Shayari