vo kabhi rafeeq to kabhi raqeeb ho gaya | वो कभी रफ़ीक़ तो कभी रक़ीब हो गया - Shivang Tiwari

vo kabhi rafeeq to kabhi raqeeb ho gaya
kyun na sun ke uska lahja kuchh ajeeb ho gaya

dil nahin laga tha jab nai-nai ghulaami mein
to main bhi siyaah raaton ke qareeb ho gaya

aakhiri hai pahar phir bhi neend aankhon mein nahin
uff kis tarah ka ye gham-e-habeeb ho gaya

rafta-rafta nanhen haathon ne chhua mujhe to bas
rom-rom is badan ka khush-naseeb ho gaya

jab se bhoola bachpana sabhi ka jhoole jhoolna
tab se vo dayaar ka shajar saleeb ho gaya

वो कभी रफ़ीक़ तो कभी रक़ीब हो गया
क्यूँ न सुन के, उसका लहजा कुछ अजीब हो गया

दिल नहीं लगा था जब नई-नई ग़ुलामी में
तो मैं भी सियाह रातों के क़रीब हो गया

आख़िरी है पहर फिर भी नींद आँखों में नहीं
उफ़्फ़ किस तरह का ये ग़म-ए-हबीब हो गया

रफ़्ता-रफ़्ता नन्हें हाथों ने छुआ मुझे तो बस
रोम-रोम इस बदन का ख़ुश-नसीब हो गया

जब से भूला बचपना सभी का, झूले झूलना
तब से वो दयार का शजर, सलीब हो गया

- Shivang Tiwari
4 Likes

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shivang Tiwari

As you were reading Shayari by Shivang Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Shivang Tiwari

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari