naa-khuda raas hi aaya na kinaare mujh ko | ना-ख़ुदा रास ही आया न किनारे मुझ को

  - Sohil Barelvi

naa-khuda raas hi aaya na kinaare mujh ko
kaun is paar se us paar utaare mujh ko

aaj ke baad dua koii nahin maangoonga
aaj ke baad nahin bhaayeinge taare mujh ko

us ne aawaaz agar di bhi to kya haasil hai
chahta hoon ki koii ab na pukaare mujh ko

vo jo jin pe tha bharosa ki sahaara denge
aakhirsh chhod gaye mere sahaare mujh ko

phir samajh aayega achha hoon bura hoon pehle
apni aankhon mein koii shakhs utaare mujh ko

aur mushkil ko badha deta main akshar us kii
door jaane ke vo karta tha ishaare mujh ko

main yahan ho ke kahin aur hi hota hoon magar
log deewaana kaha karte hain saare mujh ko

waqt padne pe dil-o-jaan luta denge ham
yaad aate hain bahut vaade tumhaare mujh ko

ना-ख़ुदा रास ही आया न किनारे मुझ को
कौन इस पार से उस पार उतारे मुझ को

आज के बाद दुआ कोई नहीं माँगूँगा
आज के बाद नहीं भाएँगे तारे मुझ को

उस ने आवाज़ अगर दी भी तो क्या हासिल है
चाहता हूँ कि कोई अब न पुकारे मुझ को

वो जो जिन पे था भरोसा कि सहारा देंगे
आख़िरश छोड़ गए मेरे सहारे मुझ को

फिर समझ आएगा अच्छा हूँ बुरा हूँ पहले
अपनी आँखों में कोई शख़्स उतारे मुझ को

और मुश्किल को बढ़ा देता मैं अक्सर उस की
दूर जाने के वो करता था इशारे मुझ को

मैं यहाँ हो के कहीं और ही होता हूँ मगर
लोग दीवाना कहा करते हैं सारे मुझ को

वक़्त पड़ने पे दिल-ओ-जान लुटा देंगे हम
याद आते हैं बहुत वादे तुम्हारे मुझ को

  - Sohil Barelvi

More by Sohil Barelvi

As you were reading Shayari by Sohil Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Sohil Barelvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari