lazzat
kuchh pal lamhe sust se hone lage the jab
usne bola tha ki tumhaare munh mein kuchh
phaile hain ankahhe se shabdon ke tukde
main jhaimpkar unhen dhak kar ye bola tab
oh ye shaayad dard kii kuchh goliyaan phansiin
hongi
baat ka phir rukh pakda aur kaha maine
yaar pata hai ab ye halki sii meethi
lagne lagin hain mujhko
usne bhi ye aasaani se maan liya
saaf pata tha usko ki zaa'ika inka
jeevan ke baad hi to ja paata hai
baaton-baaton mein usne bhi bata diya
ye ki use ab tak apni goli kadvi
hi lagti hai
maine man mein kaha mithaas liye to waqt
aata hai saath apne lekin use bhi waqt
to lagta hai bilkul jisne bhi usko
ye di
vo waqt par bhi bhari hoga
maine to ab tak itna hi jaana tha
zinda log kahaan gham kii aisi talkhi
kisi ko dete honge
phir dil ke ik kone se nikla tha ye
vaise hi phir to ye mithaas apni main
naam use kar saktaa hoon kya
itna hi socha bas aur naye tukde
kuchh munh mein phir panap gaye the
khauf-zada tha main ki kahin ye fisal na jaaye
to kuchh ko main nigal gaya tha
kuchh seene mein atak gaye the
“लज़्ज़त”
कुछ पल लम्हें सुस्त से होने लगे थे जब
उसने बोला था कि तुम्हारे मुँह में कुछ
फैले हैं अनकहे से शब्दों के टुकड़े
मैं झेंपकर उन्हें ढक कर ये बोला तब
ओह ये शायद दर्द की कुछ गोलियाँ फँसीं
होंगी
बात का फिर रुख़ पकड़ा और कहा मैंने
यार पता है अब ये हल्की सी मीठी
लगने लगीं हैं मुझको
उसने भी ये आसानी से मान लिया
साफ़ पता था उसको कि ज़ाइक़ा इनका
जीवन के बाद ही तो जा पाता है
बातों-बातों में उसने भी बता दिया
ये कि उसे अब तक अपनी गोली कड़वी
ही लगती है
मैंने मन में कहा मिठास लिए तो वक़्त
आता है साथ अपने लेकिन उसे भी वक़्त
तो लगता है बिल्कुल जिसने भी उसको
ये दी
वो वक़्त पर भी भारी होगा
मैंने तो अब तक इतना ही जाना था
ज़िंदा लोग कहाँ ग़म की ऐसी तल्ख़ी
किसी को देते होंगे
फिर दिल के इक कोने से निकला था ये
वैसे ही फिर तो ये मिठास अपनी मैं
नाम उसे कर सकता हूँ क्या
इतना ही सोचा बस और नए टुकड़े
कुछ मुँह में फिर पनप गए थे
ख़ौफ़-ज़दा था मैं कि कहीं ये फिसल न जाए
तो कुछ को मैं निगल गया था
कुछ सीने में अटक गए थे
As you were reading Shayari by kapil verma
our suggestion based on kapil verma
As you were reading undefined Shayari