ho haq mein faisla mere koii umeed nahin
koii gawaah bhi to paas chashm-deed nahin
ye daam itne mile jitne kii khareed nahin
ki kaarobaar bacha bhi to ab mufeed nahin
phir ab chukaana padega ye qarz lagta hai
hamaare paas dikhaane koii raseed nahin
bane hue hain sabhi peer is zamaane mein
yahan kisi ka koii ab raha mureed nahin
main kar hi leta hoon deedaar ab tasavvur mein
to kya hua bhi agar hoti unki deed nahin
fuhar pyaar kii padti kabhi khabaar yahan
ye baarishen bhi to hoti hain ab shadeed nahin
gale laga na sakenge anees ham tumko
to yaani ab ki manega bhi jashn-e-eid nahin
हो हक़ में फ़ैसला मेरे कोई उमीद नहीं
कोई गवाह भी तो पास चश्म-दीद नहीं
ये दाम इतने मिले जितने की ख़रीद नहीं
कि कारोबार बचा भी तो अब मुफ़ीद नहीं
फिर अब चुकाना पड़ेगा ये क़र्ज़ लगता है
हमारे पास दिखाने कोई रसीद नहीं
बने हुए हैं सभी पीर इस ज़माने में
यहाँ किसी का कोई अब रहा मुरीद नहीं
मैं कर ही लेता हूँ दीदार अब तसव्वुर में
तो क्या हुआ भी अगर होती उनकी दीद नहीं
फुहार प्यार की पड़ती कभी कभार यहाँ
ये बारिशें भी तो होतीं हैं अब शदीद नहीं
गले लगा न सकेंगे 'अनीस' हम तुमको
तो यानी अब कि मनेगा भी जश्न-ए-ईद नहीं
As you were reading Shayari by Anis shah anis
our suggestion based on Anis shah anis
As you were reading undefined Shayari