nazar aasaar-e-baarish aa rahe hain | नज़र आसार-ए-बारिश आ रहे हैं

  - Anis shah anis

nazar aasaar-e-baarish aa rahe hain
teri yaadon ke baadal chha rahe hain

udaasi ke nashe mein choor hain ham
ghamon ka jaam peekar aa rahe hain

yaqeen ki bhookh itni badh gai thi
fareb apnon ke haathon kha rahe hain

mujhe gumnaam karne ki vo zid mein
bahut mashhoor karte ja rahe hain

vo hain mere hi dastar-khwaan par aur
mere hi sar ki qasmen kha rahe hain

vo jo hain raunaq-e-mehfil hamaari
wahi mehfil se uth kar ja rahe hain

anees unka rahe dil shaad o aabaad
mera dil tod kar jo ja rahe hain

नज़र आसार-ए-बारिश आ रहे हैं
तेरी यादों के बादल छा रहे हैं

उदासी के नशे में चूर हैं हम
ग़मों का जाम पीकर आ रहे हैं

यक़ीं की भूख इतनी बढ़ गई थी
फ़रेब अपनों के हाथों खा रहे हैं

मुझे गुमनाम करने की वो ज़िद में
बहुत मशहूर करते जा रहे हैं

वो हैं मेरे ही दस्तर-ख़्वान पर और
मेरे ही सर की क़समें खा रहे हैं 

वो जो हैं रौनक़-ए-महफ़िल हमारी
वही महफ़िल से उठ कर जा रहे हैं

'अनीस' उनका रहे दिल शाद ओ आबाद
मेरा दिल तोड़ कर जो जा रहे हैं

  - Anis shah anis

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anis shah anis

As you were reading Shayari by Anis shah anis

Similar Writers

our suggestion based on Anis shah anis

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari