ham aise zohra-jamaalon mein doob jaate hain
un aankhon mein kabhi baalon mein doob jaate hain
jo muskuraane se bante hain gaalon par dimple
to ham tere unhin gaalon mein doob jaate hain
kiya hai paar samandar to baarha hamne
bas ek tere khayaalon mein doob jaate hain
chamakte khoob hi dekhe siyaah raaton mein
ye jugnoo din ke ujaalon mein doob jaate hain
jawaab milte nahin hain kabhi koii hamko
sawaal bhi to sawaalon mein doob jaate hain
nivaalon ke liye karte hain jo kaddi mehnat
vo shaam hote piyaalon mein doob jaate hain
anees apni vo manzil ko pa nahin sakte
jo apne paanv ke chhaalon mein doob jaate hain
हम ऐसे ज़ोहरा-जमालों में डूब जाते हैं
उन आँखों में कभी बालों में डूब जाते हैं
जो मुस्कुराने से बनते हैं गालों पर डिंपल
तो हम तेरे उन्हीं गालों में डूब जाते हैं
किया है पार समंदर तो बारहा हमने
बस एक तेरे ख़यालों में डूब जाते हैं
चमकते ख़ूब ही देखे सियाह रातों में
ये जुगनू दिन के उजालों में डूब जाते हैं
जवाब मिलते नहीं हैं कभी कोई हमको
सवाल भी तो सवालों में डूब जाते हैं
निवालों के लिए करते हैं जो कड़ी मेहनत
वो शाम होते पियालों में डूब जाते हैं
अनीस अपनी वो मंज़िल को पा नहीं सकते
जो अपने पाँव के छालों में डूब जाते हैं
As you were reading Shayari by Anis shah anis
our suggestion based on Anis shah anis
As you were reading undefined Shayari