haath mere hain bandhe haath milaaun kaise | हाथ मेरे हैं बंधे हाथ मिलाऊँ कैसे - Anis shah anis

haath mere hain bandhe haath milaaun kaise
paas ho kar bhi tere paas main aaun kaise

mere andar bhi machalta hai samundar lekin
tere honton ki abhi pyaas bujhaaun kaise

waqt ne daal di zanjeer mere pairo'n mein
daud kar tujh ko gale yaar lagaaun kaise

zahar-aalooda mere haath hue hain hamdam
pyaar ka jaam bhala tujh ko pilaauñ kaise

waqt kam aur mere saamne ye lamba safar
teri zulfon mein haseen shaam bitaauñ kaise

saamne rahti hai mehboob ki soorat mere
ya-khuda sajde mein sar apna jhukaauñ kaise

bojh sar par hai faraiz ka anees ab mere
phir bata sar pe tere naaz uthaaun kaise

हाथ मेरे हैं बंधे हाथ मिलाऊँ कैसे
पास हो कर भी तेरे पास मैं आऊँ कैसे

मेरे अंदर भी मचलता है समुंदर लेकिन
तेरे होंटों की अभी प्यास बुझाऊँ कैसे

वक़्त ने डाल दी ज़ंजीर मेरे पैरों में
दौड़ कर तुझ को गले यार लगाऊँ कैसे

ज़हर-आलूदा मेरे हाथ हुए हैं हमदम
प्यार का जाम भला तुझ को पिलाऊँ कैसे

वक़्त कम और मेरे सामने ये लम्बा सफ़र
तेरी ज़ुल्फ़ों में हसीं शाम बिताऊँ कैसे

सामने रहती है महबूब की सूरत मेरे
या-ख़ुदा सज्दे में सर अपना झुकाऊँ कैसे

बोझ सर पर है फ़राएज़ का 'अनीस' अब मेरे
फिर बता सर पे तेरे नाज़ उठाऊँ कैसे

- Anis shah anis
1 Like

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anis shah anis

As you were reading Shayari by Anis shah anis

Similar Writers

our suggestion based on Anis shah anis

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari