nahin hoon devta par paanv kii thokar nahin banta | नहीं हूँ देवता पर पाँव की ठोकर नहीं बनता

  - Anis shah anis

nahin hoon devta par paanv kii thokar nahin banta
main sang-e-meel hoon main raah ka patthar nahin banta

mujhe hi maarna marna mujhe hi khel mein tere
le main gotee nahin banta koii chausar nahin banta

muhaafiz hoon adab ka main adab se pesh aata hoon
kisi kii taaliyon ke vaaste joker nahin banta

hamaara qad bhi shaamil hai bada tujhko banaane mein
nahin to qad se tere tu kabhi badhkar nahin banta

zaroori hai agar narmi to kuchh sakhti bhi hai laazim
milaavat ke bina sone se bhi zewar nahin banta

lahu sabka hi hindustan kii rag-rag mein bahta hai
agar miltin nahin nadiyaan to ye saagar nahin banta

dilon mein pyaar kii khushboo mahakna bhi zaroori hai
anees eent aur patthar se to ye ghar ghar nahin banta

नहीं हूँ देवता पर पाँव की ठोकर नहीं बनता
मैं संग-ए-मील हूँ मैं राह का पत्थर नहीं बनता

मुझे ही मारना मरना मुझे ही खेल में तेरे
ले मैं गोटी नहीं बनता कोई चौसर नहीं बनता

मुहाफ़िज़ हूँ अदब का मैं अदब से पेश आता हूँ
किसी की तालियों के वास्ते जोकर नहीं बनता

हमारा क़द भी शामिल है बड़ा तुझको बनाने में
नहीं तो क़द से तेरे तू कभी बढ़कर नहीं बनता

ज़रूरी है अगर नर्मी तो कुछ सख़्ती भी है लाज़िम
मिलावट के बिना सोने से भी ज़ेवर नहीं बनता

लहू सबका ही हिंदुस्तान की रग-रग में बहता है
अगर मिलतीं नहीं नदियाँ तो ये सागर नहीं बनता

दिलों में प्यार की ख़ुशबू महकना भी ज़रूरी है
अनीस ईंट और पत्थर से तो ये घर घर नहीं बनता

  - Anis shah anis

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anis shah anis

As you were reading Shayari by Anis shah anis

Similar Writers

our suggestion based on Anis shah anis

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari