vo chahta hai use main bhi laajwaab kahoon
kisi charaagh ko kaise main aftaab kahoon
vo gulbadan hai zabaan par hain uske kaante bhi
to sochta hoon use kya main ab gulaab kahoon
khuda ne rukh pe diya kya jo ek til ka nishaan
use ye zid hai use ab main mahtaab kahoon
hain aib mujhmein kai jhaank kar jo dekha hai
ye haq nahin hai mujhe tumko ab kharab kahoon
meri wafaon ka badla jafaa se dete ho
anees tum hi kaho kya ise hisaab kahoon
वो चाहता है उसे मैं भी लाजवाब कहूँ
किसी चराग़ को कैसे मैं आफ़ताब कहूँ
वो गुलबदन है ज़बाँ पर हैं उसके काँटें भी
तो सोचता हूँ उसे क्या मैं अब गुलाब कहूँ
ख़ुदा ने रुख़ पे दिया क्या जो एक तिल का निशाँ
उसे ये ज़िद है उसे अब मैं माहताब कहूँ
हैं ऐब मुझमें कई झाँक कर जो देखा है
ये हक़ नहीं है मुझे तुमको अब ख़राब कहूँ
मेरी वफ़ाओं का बदला जफ़ा से देते हो
अनीस तुम ही कहो क्या इसे हिसाब कहूँ
As you were reading Shayari by Anis shah anis
our suggestion based on Anis shah anis
As you were reading undefined Shayari