aaj kuchh aisa mojza dekha
phool ko phool todta dekha
ik dafa dekha phool haathon mein
aur phir baalon mein saja dekha
ek zaalim ki hukmraani mein
pyaade ko shah maarta dekha
kisi ko kuchh bhi kehne ke pehle
maine ghar ja ke aaina dekha
jis kisi ne bhi tera naam liya
maine vo shakhs baarha dekha
maine kal raat band kamre mein
khud ko pankhe se jhoolta dekha
chaand ko paane ki tamannaa mein
ek taare ko tootaa dekha
आज कुछ ऐसा मोजज़ा देखा
फूल को फूल तोड़ता देखा
इक दफ़ा देखा फूल हाथों में
और फिर बालों में सजा देखा
एक जालिम की हुक्मरानी में
प्यादे को शाह मारता देखा
किसी को कुछ भी कहने के पहले
मैंने घर जा के आईना देखा
जिस किसी ने भी तेरा नाम लिया
मैंने वो शख़्स बारहा देखा
मैंने कल रात बंद कमरे में
ख़ुद को पंखे से झूलता देखा
चाँद को पाने की तमन्ना में
एक तारे को टूटता देखा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shadab Asghar
our suggestion based on Shadab Asghar
As you were reading Eid Shayari Shayari