rut hai aisi zehar yaabi zindagi khatre mein hai
maajra ye pesh hai har aadmi khatre mein hai
ham agar sambhale nahin to ek din mit jaayenge
chhod do ye badgumaani har koi khatre mein hai
un ki galiyon mein bhatkte the kabhi ham dar badar
zulm ye kaisa hua aawaargi khatre mein hai
ishq karna thi khata to ye khata hamne kari
hai saza itni badi ab saans bhi khatre mein hai
maine ik kutiya banaai aur ye toofaan aa gaya
palakar ka ye aalam chat meri khatre mein hai
uske khaatir mombatti jo jalai bujh gayi
dil gawaahi de raha hai vo kisi khatre mein hai
रुत है ऐसी ज़हर याबी ज़िन्दगी ख़तरे में है
माजरा ये पेश है हर आदमी ख़तरे में है
हम अगर संभले नहीं तो एक दिन मिट जाएंगे
छोड़ दो ये बदगुमानी हर कोई ख़तरे में है
उन की गलियों में भटकते थे कभी हम दर बदर
ज़ुल्म ये कैसा हुआ आवारगी ख़तरे में है
इश्क़ करना थी ख़ता तो ये ख़ता हमने करी
है सज़ा इतनी बड़ी अब साँस भी ख़तरे में है
मैंने इक कुटिया बनाई और ये तूफां आ गया
बदनसीबी का ये आलम छत मेरी ख़तरे में है
उसके ख़ातिर मोमबत्ती जो जलाई बुझ गयी
दिल गवाही दे रहा है, वो किसी ख़तरे में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shadab Asghar
our suggestion based on Shadab Asghar
As you were reading Zulm Shayari Shayari