main use jaane na deta kabhi aasaani se | मैं उसे जाने न देता कभी आसानी से

  - Shadab Asghar

main use jaane na deta kabhi aasaani se
main muhabbat mein bhi haara hun beimani se

saada dil hoon jo bahut saadgi pasand mujhe
mujh ko matlab hi nahin goochi se armaani se

tu mere saath to duniya ki khushi hai mere saath
lena dena hi nahin duniya ki veeraani se

kabhi achhe to kabhi bad se bure din mere
aaj faqaa hai to kal naashta biryaani se

zism ki chaah ko ye ishq kaha kartein hain
in ko matlab hai to bas zism ki uryaani se

vo muhabbat se nahin waqt se haara hua hai
kahi mil jaay to kah dena meri raani se

main kabhi kah nahin paaya jo use sunna tha
vo bhi darti rahi ik rishte ki qurbaani se

मैं उसे जाने न देता कभी आसानी से
मैं मुहब्बत में भी हारा हुँ बईमानी से

सादा' दिल हूं जो बहुत सादगी पसंद मुझे
मुझ को मतलब ही नहीं गूची से अरमानी से

तू मेरे साथ तो दुनिया की खुशी है मेरे साथ
लेना देना ही नहीं दुनिया की वीरानी से

कभी अच्छे तो कभी बद से बुरे दिन मेरे
आज फ़ाक़ा है तो कल नाशता बिरयानी से

ज़िस्म की चाह को ये इश्क़ कहा करतें हैं
इन को मतलब है तो बस ज़िस्म की उरयानी से

वो मुहब्बत से नहीं वक़्त से हारा हुआ है
कहीं मिल जाय तो कह देना मेरी रानी से

मैं कभी कह नहीं पाया जो उसे सुनना था
वो भी डरती रही इक रिश्ते की कुर्बानी से

  - Shadab Asghar

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shadab Asghar

As you were reading Shayari by Shadab Asghar

Similar Writers

our suggestion based on Shadab Asghar

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari