hamne jise ik zindagi kah kar guzaari hai
usmein khushi kuchh bhi nahin bas khaksari hai
ranj-o-alam ke daur mein jaisi udaasi thi
utni khushi ke mausamon mein sogwaari hai
ab tak dil-e-naashaad mein rehta hai daur-e-jaam
is jaam kii har shakhs se ik burdabaari hai
aangan jahaan par ab talak bas khaar hote the
ik phool ke aane pe kitni khushgawari hai
mere jahaan mein mard apni raay dete hain
mere jahaan mein auratein mardon pe bhari hai
ambar koii pooche ki kaise ishq hota hai
hamko bayaan karne kii kitni beqaraari hai
हमने जिसे इक ज़िन्दगी कह कर गुज़ारी है
उसमें ख़ुशी कुछ भी नहीं बस ख़ाकसारी है
रंज-ओ-अलम के दौर में जैसी उदासी थी
उतनी ख़ुशी के मौसमों में सोगवारी है
अब तक दिल-ए-नाशाद में रहता है दौर-ए-जाम
इस जाम की हर शख़्स से इक बुर्दबारी है
आँगन जहाँ पर अब तलक बस ख़ार होते थे
इक फूल के आने पे कितनी ख़ुशगवारी है
मेरे जहाँ में मर्द अपनी राय देते हैं
मेरे जहाँ में औरतें मर्दों पे भारी है
'अंबर' कोई पूछे कि कैसे इश्क़ होता है
हमको बयाँ करने की कितनी बेक़रारी है
As you were reading Shayari by Happy Srivastava 'Ambar'
our suggestion based on Happy Srivastava 'Ambar'
As you were reading undefined Shayari