ek aur saal guzar gaya
ek aur saal guzar gaya
koii hans diya
koii ro liya
kisi ne aansuon se
munh dho liya
ek aur saal guzar gaya
koii manzil tak gaya
koii raahguzaar mein thehar gaya
koii apne ghar gaya
koii pahunch gaya pahaad
to koii door samandar gaya
ek aur saal guzar gaya
koii zindagi se ladta raha
koii zindagi se thak gaya
koii thak kar bhi chalta raha
aur koii maut sang ruk gaya
ek aur saal guzar gaya
kisi ne zameen se aasmaan dekha
kisi ne aasmaan se zameen
koii khushi khushi raha
kuchh ko naseeb hui nami
zindagi hai
kabhi achha kabhi bura pahar gaya
ek aur saal guzar gaya
"एक और साल गुज़र गया"
एक और साल गुज़र गया
कोई हँस दिया
कोई रो लिया
किसी ने आँसुओं से
मुँह धो लिया
एक और साल गुज़र गया
कोई मंज़िल तक गया
कोई रहगुज़र में ठहर गया
कोई अपने घर गया
कोई पहुँच गया पहाड़
तो कोई दूर समंदर गया
एक और साल गुज़र गया
कोई ज़िंदगी से लड़ता रहा
कोई ज़िंदगी से थक गया
कोई थक कर भी चलता रहा
और कोई मौत संग रुक गया
एक और साल गुज़र गया
किसी ने ज़मीं से आसमाँ देखा
किसी ने आसमाँ से ज़मीं
कोई ख़ुशी ख़ुशी रहा
कुछ को नसीब हुई नमी
ज़िंदगी है
कभी अच्छा कभी बुरा पहर गया
एक और साल गुज़र गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saurabh Yadav Kaalikhh
our suggestion based on Saurabh Yadav Kaalikhh
As you were reading Ghar Shayari Shayari