fer li nazar sabse ab nahin shikaayat bhi
hai yahan sabhi apne kha gai ye aadat bhi
door jab hua vo to soch kar hue khush ham
vo chali gai ab sar se gai museebat bhi
kahti hai vo sab se ladka shabaab hai lekin
usse ishq karne mein hai hazaar diqqat bhi
koshishein kisi ki jaati nahin yahan khaali
baar baar ki hamne soch ye mohabbat bhi
saath ek ladki ko dekh kah diya usne
ab tumhein bhala kya hogi meri zaroorat bhi
nau se paanch ki is kambakht daftari me ab
mar gai kahi khaali baithne ki chaahat bhi
pyaar unki jaanib se muft mein kabhi aaye
phir kabhi kabhi aaye be-hisaab nafrat bhi
film ab bhale hi lambi nahin chali ho par
thi amar-kahaani honi thi khoobsurat bhi
फेर ली नज़र सबसे अब नहीं शिकायत भी
है यहाँ सभी अपने खा गई ये आदत भी
दूर जब हुआ वो तो सोच कर हुए ख़ुश हम
वो चली गई अब सर से गई मुसीबत भी
कहती है वो सब से लड़का शबाब है लेकिन
उससे इश्क़ करने में है हज़ार दिक़्क़त भी
कोशिशें किसी की जाती नहीं यहाँ ख़ाली
बार बार की हमने सोच ये मोहब्बत भी
साथ एक लड़की को देख कह दिया उसने
अब तुम्हें भला क्या होगी मिरी ज़रूरत भी
नौ से पाँच की इस कमबख़्त दफ़्तरी मे अब
मर गई कहीं खाली बैठने कि चाहत भी
प्यार उनकी जानिब से मुफ़्त में कभी आए
फिर कभी कभी आए बे-हिसाब नफ़रत भी
फिल्म अब भले ही लंबी नहीं चली हो पर
थी अमर-कहानी होनी थी ख़ूबसूरत भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kartik tripathi
our suggestion based on Kartik tripathi
As you were reading haseen Shayari Shayari