kai udaas se chehre nazar mein rakhta hoon | कई उदास से चेहरे नज़र में रखता हूँ

  - Khalid Azad

kai udaas se chehre nazar mein rakhta hoon
phir us ke ba’d mein khud ko safar mein rakhta hoon

kisi charaagh kisi chaand ka bharosa kya
do chaar jugnoo bhi waqt-e-sehr mein rakhta hoon

makaan banaya to bhoola nahin purane din
do chaar khana-badoshon ko ghar mein rakhta hoon

ye aur baat ki aankhe dhaki dhaki si hain
ye ek baat main sabko nazar mein rakhta hoon

कई उदास से चेहरे नज़र में रखता हूँ
फिर उस के बा’द में ख़ुद को सफ़र में रखता हूँ

किसी चराग़ किसी चाँद का भरोसा क्या
दो चार जुगनू भी वक़्त-ए-सहर में रखता हूँ

मकाँ बनाया तो भूला नहीं पुराने दिन
दो चार ख़ाना-बदोशों को घर में रखता हूँ

ये और बात की आँखे ढकी ढकी सी हैं
ये एक बात मैं सबको नज़र में रखता हूँ

  - Khalid Azad

Bharosa Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Khalid Azad

As you were reading Shayari by Khalid Azad

Similar Writers

our suggestion based on Khalid Azad

Similar Moods

As you were reading Bharosa Shayari in Hindi Shayari