lautenge ab vo guzre zamaane nahin nahin
aankhon ko ab vo khwaab dikhaane nahin nahin
shaayad ki uske lab pe tabassum ki hai ghatta
mausam kabhi ye varna suhaane nahin nahin
is baat pe khafa hain manaane nahi gaye
tum bhi the aaye hamko manaane nahin nahin
kuchh bhi sabq ye lete jo majnu ko dekh kar
sehra mein aate phir ye deewane nahin nahin
yaadon mein aate jaate hain saare ke saare ab
lekin vo ghar mein yaar purane nahin nahin
bazaar-e-misr aaj bhi aabaad hain magar
yusuf ke jaise ab vo khazaane nahin nahin
gham ki talab hai mujhko ki ab chain kuchh mile
khushiyon ke ab ye baar uthaane nahin nahin
khaalid jo zikr aaye kabhi us haseen ka
aise koi bhi she'r sunaane nahin nahin
लौटेंगे अब वो गुज़रे ज़माने, नहीं नहीं
आँखों को अब वो ख़्वाब दिखाने, नहीं नहीं
शायद कि उसके लब पे तबस्सुम की है घटा
मौसम कभी ये वरना सुहाने, नहीं नहीं
इस बात पे ख़फ़ा हैं मनाने नही गए
तुम भी थे आए हमको मनाने, नहीं नहीं
कुछ भी सबक़ ये लेते जो मजनू को देख कर
सहरा में आते फिर ये दिवाने, नहीं नहीं
यादों में आते जाते हैं सारे के सारे अब
लेकिन वो घर में यार पुराने, नहीं नहीं
बाज़ार-ए-मिस्र आज भी आबाद हैं मगर
यूसुफ के जैसे अब वो ख़ज़ाने, नहीं नहीं
ग़म की तलब है मुझको कि अब चैन कुछ मिले
ख़ुशियों के अब ये बार उठाने, नहीं नहीं
ख़ालिद जो ज़िक्र आए कभी उस हसीन का
ऐसे कोई भी शे'र सुनाने नहीं नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khalid Azad
our suggestion based on Khalid Azad
As you were reading Bhai Shayari Shayari