kahin aisa na ho vo aur bhi bezaar ho jaaye
hamaare ishq ka us shokh par izhaar ho jaaye
yahi to sochkar shaamil hua mehfil mein main teri
kisi soorat sar-e-mahfil tera deedaar ho jaaye
mere dushman agar tum ho to meri jaan bhi le lo
ajab lagta nahin dil ishq ka beemaar ho jaaye
zabaan ko is qadar tu ba-asar kar de mere maalik
dua karta hoon main sabke liye saakaar ho jaaye
nahin ho fikr kuchh apni main aise hosh ko kho doon
mujhe angoor kii beti se itna pyaar ho jaaye
use bhi chaand sii dukhtar ata kar de mere maula
use bhi apni khuddaari se kuchh paikaar ho jaaye
कहीं ऐसा न हो वो और भी बेज़ार हो जाए
हमारे इश्क़ का उस शोख़ पर इज़हार हो जाए
यही तो सोचकर शामिल हुआ महफ़िल में मैं तेरी
किसी सूरत सर-ए-महफ़िल तेरा दीदार हो जाए
मेरे दुश्मन अगर तुम हो तो मेरी जान भी ले लो
अजब लगता नहीं दिल इश्क़ का बीमार हो जाए
ज़बाँ को इस क़दर तू बा-असर कर दे मेरे मालिक
दुआ करता हूँ मैं सबके लिए साकार हो जाए
नहीं हो फ़िक्र कुछ अपनी मैं ऐसे होश को खो दूँ
मुझे अंगूर की बेटी से इतना प्यार हो जाए
उसे भी चाँद सी दुख़्तर अता कर दे मिरे मौला
उसे भी अपनी ख़ुद्दारी से कुछ पैकार हो जाए
As you were reading Shayari by Kumar Aryan
our suggestion based on Kumar Aryan
As you were reading undefined Shayari