koi shikwa ho aakhir kya kisi se
mila hai kya mujhe is zindagi se
jise tum pyaar karte the batao
tumhaara bhar gaya kya man usi se
bharosa ab nahin mujhko kisi par
lagaaun dil main kaise ajnabi se
sataaya is qadar apnon ne hamko
kinaara kar liya hamne sabhi se
ye sab qudrat ka hi dhaya sitam hai
koi shikwa nahin hai aadmi se
ata ki jisne khushiyaan intihaai
mila hai dard bhi mujhko usi se
musalmaano faqat tum heen nahin bas
mohabbat karta hoon main bhi nabi se
siya phir fans chuki hai danavon mein
miloonga to kahunga raam jee se
कोई शिकवा हो आख़िर क्या किसी से
मिला है क्या मुझे इस ज़िन्दगी से
जिसे तुम प्यार करते थे बताओ
तुम्हारा भर गया क्या मन उसी से
भरोसा अब नहीं मुझको किसी पर
लगाऊँ दिल मैं कैसे अजनबी से
सताया इस क़दर अपनों ने हमको
किनारा कर लिया हमने सभी से
ये सब क़ुदरत का ही ढ़ाया सितम है
कोई शिकवा नहीं है आदमी से
अता की जिसने ख़ुशियाँ इंतिहाई
मिला है दर्द भी मुझको उसी से
मुसलमानों फ़क़त तुम हीं नहीं बस
मोहब्बत करता हूँ मैं भी नबी से
सिया फिर फँस चुकी है दानवों में
मिलूँगा तो कहूँगा राम जी से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kumar Aryan
our suggestion based on Kumar Aryan
As you were reading Anjam Shayari Shayari