dard har din ik naya mujhko chahiye
aapki ik bad-dua mujhko chahiye
daur ke sar kyun sabhi ab ilzaam den
aadmi hona bhala mujhko chahiye
baat gar koii ghalat main jab kah gaya
bolna achha bhala mujhko chahiye
koii mushkil raaston mein to saath ho
yaar aisi dilruba mujhko chahiye
is dikhaave se bhari ye duniya mein ab
sach dikhaata aaina mujhko chahiye
chhedna mat ab mere zakhamon ko yahan
dost qissa ankaha mujhko chahiye
aag seene mein lagaaye jo baat vo
aasmaan sii barq-za mujhko chahiye
mushkilon ka daur chalta rukta nahin
ab naya ik raasta mujhko chahiye
vo khyaalon ko ghazal kehta hi raha
ab gala bhi be-sura mujhko chahiye
chhodkar usne bhulaaya maana magar
par wahi ik bewafa mujhko chahiye
main musalsal kehta hoon duniya se yahan
ik usi ka bolna mujhko chahiye
ik adhuri jo ghazal hai ai dosto
us ghazal ka qaafiya mujhko chahiye
दर्द हर दिन इक नया मुझको चाहिए
आपकी इक बद-दुआ मुझको चाहिए
दौर के सर क्यूँ सभी अब इल्ज़ाम दें
आदमी होना भला मुझको चाहिए
बात गर कोई ग़लत मैं जब कह गया
बोलना अच्छा भला मुझको चाहिए
कोई मुश्किल रास्तों में तो साथ हो
यार ऐसी दिलरुबा मुझको चाहिए
इस दिखावे से भरी ये दुनिया में अब
सच दिखाता आइना मुझको चाहिए
छेड़ना मत अब मेरे ज़ख़्मों को यहाँ
दोस्त क़िस्सा अनकहा मुझको चाहिए
आग सीने में लगाए जो बात वो
आसमाँ सी बर्क़-ज़ा मुझको चाहिए
मुश्किलों का दौर चलता रुकता नहीं
अब नया इक रास्ता मुझको चाहिए
वो ख़यालों को ग़ज़ल कहता ही रहा
अब गला भी बे-सुरा मुझको चाहिए
छोड़कर उसने भुलाया माना मगर
पर वही इक बेवफ़ा मुझको चाहिए
मैं मुसलसल कहता हूँ दुनिया से यहाँ
इक उसी का बोलना मुझको चाहिए
इक अधूरी जो ग़ज़ल है ऐ दोस्तो
उस ग़ज़ल का क़ाफिया मुझको चाहिए
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading undefined Shayari