sookhte jaise shajar sii zindagi hai
maut meri to badi hi aalasi hai
main use badnaam karta kis liye ab
mas'ala hi jab hamaara aapsi hai
ek rask-e-hoor jannat kii hai vo to
kyun magar gham se meri phir dosti hai
ghaav par marham lagaayega na koii
phir bhi jaane kyun sabhi se dosti hai
chaand taare sab base hain aasmaan mein
meri shaayad raat ab ye aakhiri hai
सूखते जैसे शजर सी ज़िंदगी है
मौत मेरी तो बड़ी ही आलसी है
मैं उसे बदनाम करता किस लिए अब
मसअला ही जब हमारा आपसी है
एक रश्क-ए-हूर जन्नत की है वो तो
क्यों मगर ग़म से मेरी फिर दोस्ती है
घाव पर मरहम लगाएगा न कोई
फिर भी जाने क्यों सभी से दोस्ती है
चाँद तारे सब बसे हैं आसमाँ में
मेरी शायद रात अब ये आख़िरी है
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading undefined Shayari