ghazalgo ko ghazal samjha rahe ho tum
pata hai kya kise batla rahe ho tum
jahaan jab bah raha hai ik taraf to phir
jahaan se hi alag kyun ja rahe ho tum
pata hai main abhi peeta nahin phir bhi
mujhi ko jaam kyun pakda rahe ho tum
dikhaakar khwaab achhe raah mein meri
nukeele taar kyun bichwa rahe ho tum
bhale apni khushi hamse chhupa lena
abhi gham kyun chhipaate ja rahe ho tum
ग़ज़लगो को ग़ज़ल समझा रहे हो तुम
पता है क्या किसे बतला रहे हो तुम
जहाँ जब बह रहा है इक तरफ़ तो फिर
जहाँ से ही अलग क्यूँ जा रहे हो तुम
पता है मैं अभी पीता नहीं फिर भी
मुझी को जाम क्यूँ पकड़ा रहे हो तुम
दिखाकर ख़्वाब अच्छे राह में मेरी
नुकीले तार क्यूँ बिछवा रहे हो तुम
भले अपनी ख़ुशी हमसे छिपा लेना
अभी ग़म क्यूँ छिपाते जा रहे हो तुम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manoj Devdutt
our suggestion based on Manoj Devdutt
As you were reading Gham Shayari Shayari