meri ghazal ko bas mohabbat ka sahaara chahiye | मेरी ग़ज़ल को बस मोहब्बत का सहारा चाहिए - Mansa khyaal

meri ghazal ko bas mohabbat ka sahaara chahiye
yaani ki is achhe bhale dil ko khasaara chahiye

jugnoo chamakte hain faqat raaton mein sabko hai khabar
phir bhi parakh loon ik dafa din aashkaara chahiye

patthar agar ho dil kii jaanib bolo kaise dhadhke vo
pehli mohabbat mein uthi nazarein dobara chahiye

kaise samajh jaata hai koii bin kahe baatein sabhi
aakhir dil-e-naadaan ko koii to ishaara chahiye

hargiz nahin ho sakta mujh se intizaar-e-eid ab
us chaand se kah do ki roz-o-shab nazaara chahiye

मेरी ग़ज़ल को बस मोहब्बत का सहारा चाहिए
यानी कि इस अच्छे भले दिल को ख़सारा चाहिए

जुगनू चमकते हैं फ़क़त रातों में सबको है ख़बर
फिर भी परख लूँ इक दफ़ा दिन आश्कारा चाहिए

पत्थर अगर हो दिल की जानिब बोलो कैसे धड़के वो
पहली मोहब्बत में उठी नज़रें दोबारा चाहिए

कैसे समझ जाता है कोई बिन कहे बातें सभी
आख़िर दिल-ए-नादाँ को कोई तो इशारा चाहिए

हरगिज़ नहीं हो सकता मुझ से इन्तिज़ार-ए-ईद अब
उस चाँद से कह दो कि रोज़-ओ-शब नज़ारा चाहिए

- Mansa khyaal
2 Likes

Similar Writers

our suggestion based on Mansa khyaal

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari