bichhad kar phir wahin milna kabhi aasaan nahin hota
muhabbat ka naya rasta kabhi aasaan nahin hota
tu ghalib meer mumin ka pujaari hai magar sun le
ghazal kii raah pe chalna kabhi aasaan nahin hota
vo kis ko chahti hai aur kis se prem karti hai
muhabbat mein koii tukka kabhi aasaan nahin hota
chhalk aati hain aankhen bachpane ko yaad karke ab
dobaara phir vo din milna kabhi aasaan nahin hota
daya bilkul nahin aati thi sar jee kootte the jab
are likhna sahi imlaa kabhi aasaan nahin hota
likhaavat ek jaisi hai ye duniya ke habeebon kii
tabeebon ka likha padhna kabhi aansaa nahin hota
abhi bhi dafn hai seene mein vo ujadi hui duniya
puraani baato pe charcha kabhi aasaan nahin hota
khazana chahte ho aur mushkil bhi nahin koii
khazana ka koii naqsha kabhi aasaan nahin hota
jabaan urdu bhi hai achhi magar nau sikhiya ham thehre
ghazal ke pahluu ko choona kabhi aasaan nahin hota
hazaaron sher kehne ko to kah sakte sachin lekin
ghazal ke sheron mein maqtaa kabhi aasaan nahin hota
बिछड़ कर फिर वहीं मिलना कभी आसाँ नहीं होता
मुहब्बत का नया रस्ता कभी आसाँ नहीं होता
तू ग़ालिब मीर मोमिन का पुजारी है मगर सुन ले
ग़ज़ल की राह पे चलना कभी आसाँ नहीं होता
वो किस को चाहती है और किससे प्रेम करती है
मुहब्बत में कोई तुक्का कभी आसाँ नहीं होता
छलक आती हैं आँखें बचपने को याद करके अब
दुबारा फिर वो दिन मिलना कभी आसाँ नहीं होता
दया बिल्कुल नहीं आती थी सर जी कूटते थे जब
अरे लिखना सही इमला कभी आसाँ नहीं होता
लिखावट एक जैसी है ये दुनिया के हबीबों की
तबीबों का लिखा पढ़ना कभी आँसा नहीं होता
अभी भी दफ़्न है सीने में वो उजड़ी हुई दुनिया
पुरानी बातो पे चर्चा कभी आसाँ नहीं होता
ख़ज़ाना चाहते हो और मुश्किल भी नहीं कोई
ख़ज़ाना का कोई नक़्शा कभी आसाँ नहीं होता
जबाँ उर्दू भी है अच्छी मगर नौ सिखिया हम ठहरे
ग़ज़ल के पहलू को छूना कभी आसाँ नहीं होता
हज़ारों शेर कहने को तो कह सकते सचिन लेकिन
ग़ज़ल के शेरों में मक़्ता कभी आसाँ नहीं होता
As you were reading Shayari by Sachin Sharmaa
our suggestion based on Sachin Sharmaa
As you were reading undefined Shayari