junoon cheekh cheekh kar ye kehta hai junoon se | जुनून चीख़ चीख़ कर ये कहता है जुनून से

  - Shajar Abbas

junoon cheekh cheekh kar ye kehta hai junoon se
shab-e-firaq-e-yaar mein diye jalao khoon se

yaqeen kar ye ishq ke nagar mein ek pal kabhi
dil-e-gareeb-e-khasta-tan raha nahin sukoon se

hamaare dil kii saari nek haajate qubool kar
mila de maah-e-janvari ilaahi maah-e-june se

mujhe ye etibaar hai tu dekh lena ek din
main aab-joo nikaal doonga koh-e-be-sutoon se

kaha ye harf-e-khe ne badh ke harf-e-waaw se shajar
karo ab ikhtitaam-e-lafz-e-khoon harf-e-noon se

जुनून चीख़ चीख़ कर ये कहता है जुनून से
शब-ए-फ़िराक़-ए-यार में दिये जलाओ ख़ून से

यक़ीन कर ये इश्क़ के नगर में एक पल कभी
दिल-ए-ग़रीब-ए-ख़स्ता-तन रहा नहीं सुकून से

हमारे दिल की सारी नेक हाजते क़ुबूल कर
मिला दे माह-ए-जनवरी इलाही माह-ए-जून से

मुझे ये एतिबार है तू देख लेना एक दिन
मैं आब-जू निकाल दूँगा कोह-ए-बे-सुतून से

कहा ये हर्फ़-ए-ख़े ने बढ़ के हर्फ़-ए-वाव से शजर
करो अब इख़्तिताम-ए-लफ़्ज़-ए-ख़ून हर्फ़-ए-नून से

  - Shajar Abbas

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari