nigaah-e-fitna-saamaan uth rahi hai | निगाह-ए-फ़ित्ना-सामाँ उठ रही है

  - Shajar Abbas

nigaah-e-fitna-saamaan uth rahi hai
dil-e-afsurda mein halchal machi hai

khuda tere chaman ki vo kali hai
ghazal jiske tasavvur mein likhi hai

faqat ye haasil-e-'umr-e-wafaa hai
hayaat-e-jawedaan ujadi padi hai

sar-e-bazaar aaya husn-e-yusuf
khabar ye misr mein phaili hui hai

bala-e-ishq se khud ko bachao
mata'-e-jaan tumhaari kam sinee hai

dayaar-e-naaz ki aab-o-hawa sab
qasam se hoo-b-hoo firdaus si hai

hayaat-e-khizr mujhko de de ya rab
dua ye honthon pe uske saji hai

nigaah-e-lutf se dekha hai usne
khabar dil ke dareechon mein udri hai

hamein ye gham nahin ghamgeen hain ham
koi khush hai hamein iski khushi hai

makeen hain jo mere koocha-e-dil mein
shajar mulk-e-sulaimaan ki pari hai

tumhaare naam ki dekho shajar tum
hina dast-e-mubaarak par rachi hai

निगाह-ए-फ़ित्ना-सामाँ उठ रही है
दिल-ए-अफ़सुर्दा में हलचल मची है

ख़ुदा तेरे चमन की वो कली है
ग़ज़ल जिसके तसव्वुर में लिखी है

फ़क़त ये हासिल-ए-'उम्र-ए-वफ़ा है
हयात-ए-जावेदाँ उजड़ी पड़ी है

सर-ए-बाज़ार आया हुस्न-ए-युसूफ
ख़बर ये मिस्र में फैली हुई है

बला-ए-इश्क़ से ख़ुद को बचाओ
मता'-ए-जाँ तुम्हारी कम सिनी है

दयार-ए-नाज़ की आब-ओ-हवा सब
क़सम से हू-ब-हू फ़िरदौस सी है

हयात-ए-ख़िज़र मुझको दे दे या रब
दुआ ये होंठों पे उसके सजी है

निगाह-ए-लुत्फ़ से देखा है उसने
ख़बर दिल के दरीचों में उड़ी है

हमें ये ग़म नहीं ग़मगीन हैं हम
कोई ख़ुश है हमें इसकी ख़ुशी है

मकीं हैं जो मेरे कूचा-ए-दिल में
शजर मुल्क-ए-सुलैमाँ की परी है

तुम्हारे नाम की देखो शजर तुम
हिना दस्त-ए-मुबारक पर रची है

  - Shajar Abbas

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari