mujhko beghar hi samjho hona tha
tere dil mein mera basera tha
mujhko tohfe mein jo ghadi di hai
waqt thoda sa tujhko dena tha
mujhko mahlon se kya hi lena hai
saath mein jhopdi mein rahna tha
main vo shaadi ka pairhan jisko
usne bas ek baar pahna tha
mujhko duniya samajh nahin aati
mujhko unka ghulaam hona tha
uski fitrat mein hi kahaan thi wafa
usko pa leta tab bhi khona tha
mere haq mein raha bichhadna bhi
zindagi bhar ka warna rona tha
मुझको बेघर ही समझो होना था
तेरे दिल में मिरा बसेरा था
मुझको तोहफ़े में जो घड़ी दी है
वक़्त थोड़ा सा तुझको देना था
मुझको महलों से क्या ही लेना है
साथ में झोपड़ी में रहना था
मैं वो शादी का पैरहन जिसको
उसने बस एक बार पहना था
मुझको दुनिया समझ नहीं आती
मुझको उनका ग़ुलाम होना था
उसकी फ़ितरत में ही कहाँ थी वफ़ा
उसको पा लेता तब भी खोना था
मेरे हक़ में रहा बिछड़ना भी
ज़िंदगी भर का वर्ना रोना था
As you were reading Shayari by umar udas
our suggestion based on umar udas
As you were reading undefined Shayari