pehle chalne ka mere hunar mar gaya | पहले, चलने का मेरे हुनर मर गया - Yasmin Khan

pehle chalne ka mere hunar mar gaya
aur fir dheere dheere safar mar gaya

tere har lams ka jo asar mar gaya
kaatkar ishq apna hi sar mar gaya

gham raha kyun nahin ek sa hijr ka
tu to zinda raha main magar mar gaya

tadpa roya bahut neem-jaan khwaab ik
chahta tha ki jee le vo par mar gaya

waqt aaya hai kaisa vaba ka khuda
baap ke saath lakht-e-jigar mar gaya

bach gai bas diwaaren daraaren sabhi
naani ke jaate hi ghar ka dar mar gaya

ishq hai ishq tha aur रहेगा,मगर
tere jaanib chale vo safar mar gaya

पहले, चलने का मेरे हुनर मर गया
और फ़िर धीरे धीरे सफ़र मर गया

तेरे हर लम्स का जो असर मर गया
काटकर इश्क़ अपना ही सर मर गया

ग़म रहा क्यूँ नहीं एक सा हिज्र का
तू तो ज़िन्दा रहा, मैं मगर मर गया

तड़पा रोया बहुत नीम-जाँ ख़्वाब इक
चाहता था कि जी ले वो, पर मर गया

वक़्त आया है कैसा वबा का ख़ुदा
बाप के साथ लख़्त-ए-जिगर मर गया

बच गई बस दिवारें दरारें सभी
नानी के जाते ही घर का दर मर गया

इश्क़ है, इश्क़ था, और रहेगा,मगर
तेरे जानिब चले वो सफ़र मर गया

- Yasmin Khan
0 Likes

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yasmin Khan

As you were reading Shayari by Yasmin Khan

Similar Writers

our suggestion based on Yasmin Khan

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari