nand ke laal yashoda ke dulaare mohan | नंद के लाल यशोदा के दुलारे मोहन

  - Aaftab Rais Panipati

nand ke laal yashoda ke dulaare mohan
ham tiri yaad mein betaab hain saare mohan
rote rote hui bhagaton ki tire umr basar
kis museebat mein shab-o-roz guzaare mohan
naam-leva tire duniya se mite jaate hain
jaan-b-lab hain tiri aankhon ke sitaare mohan
jis ko karta tha kaleje se ghadi bhar na juda
chhod rakha hai use kis ke sahaare mohan
phir wahi sanwali chhab aaye nazar bhagaton ko
nand ki god mein jamuna ke kinaare mohan
nand baba ki kuti ho gai sooni tujh bin
feke mathura ke hue saare nazaare mohan
dard-mandon ko kaleje se lagaane waale
aftaab aaj museebat mein pukaare mohan

नंद के लाल यशोदा के दुलारे मोहन
हम तिरी याद में बेताब हैं सारे मोहन
रोते रोते हुई भगतों की तिरे उम्र बसर
किस मुसीबत में शब-ओ-रोज़ गुज़ारे मोहन
नाम-लेवा तिरे दुनिया से मिटे जाते हैं
जाँ-ब-लब हैं तिरी आँखों के सितारे मोहन
जिस को करता था कलेजे से घड़ी भर न जुदा
छोड़ रखा है उसे किस के सहारे मोहन
फिर वही साँवली छब आए नज़र भगतों को
नंद की गोद में जमुना के किनारे मोहन
नंद बाबा की कुटी हो गई सूनी तुझ बिन
फीके मथुरा के हुए सारे नज़ारे मोहन
दर्द-मंदों को कलेजे से लगाने वाले
'आफ़्ताब' आज मुसीबत में पुकारे मोहन

  - Aaftab Rais Panipati

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aaftab Rais Panipati

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari