ho jaayegi jab tum se shanaasaai zara aur | हो जाएगी जब तुम से शनासाई ज़रा और

  - Aanis Moin

ho jaayegi jab tum se shanaasaai zara aur
badh jaayegi shaayad meri tanhaai zara aur

kyun khul gaye logon pe meri zaat ke asraar
ai kaash ki hoti meri gehraai zara aur

phir haath pe zakhamon ke nishaan gin na sakoge
ye uljhi hui dor jo suljhaai zara aur

tardid to kar saka tha failegi magar baat
is taur bhi hogi tiri ruswaai zara aur

kyun tark-e-ta'alluq bhi kiya laut bhi aaya
achha tha ki hota jo vo harjaai zara aur

hai deep tiri yaad ka raushan abhi dil mein
ye khauf hai lekin jo hawa aayi zara aur

ladna wahin dushman se jahaan gher sako tum
jeetoge tabhi hogi jo paspaai zara aur

badh jaayenge kuchh aur lahu bechne waale
ho jaaye agar shehar mein mehngaai zara aur

ik doobti dhadkan ki sada log na sun len
kuchh der ko bajne do ye shehnai zara aur

हो जाएगी जब तुम से शनासाई ज़रा और
बढ़ जाएगी शायद मिरी तंहाई ज़रा और

क्यूँ खुल गए लोगों पे मिरी ज़ात के असरार
ऐ काश कि होती मिरी गहराई ज़रा और

फिर हाथ पे ज़ख़्मों के निशाँ गिन न सकोगे
ये उलझी हुई डोर जो सुलझाई ज़रा और

तरदीद तो कर सकता था फैलेगी मगर बात
इस तौर भी होगी तिरी रुस्वाई ज़रा और

क्यूँ तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ भी किया लौट भी आया
अच्छा था कि होता जो वो हरजाई ज़रा और

है दीप तिरी याद का रौशन अभी दिल में
ये ख़ौफ़ है लेकिन जो हवा आई ज़रा और

लड़ना वहीं दुश्मन से जहाँ घेर सको तुम
जीतोगे तभी होगी जो पस्पाई ज़रा और

बढ़ जाएँगे कुछ और लहू बेचने वाले
हो जाए अगर शहर में महँगाई ज़रा और

इक डूबती धड़कन की सदा लोग न सुन लें
कुछ देर को बजने दो ये शहनाई ज़रा और

  - Aanis Moin

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aanis Moin

As you were reading Shayari by Aanis Moin

Similar Writers

our suggestion based on Aanis Moin

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari