kitne hi ped khof-e-khizaan se ujad gaye | कितने ही पेड़ ख़ौफ़-ए-ख़िज़ाँ से उजड़ गए - Aanis Moin

kitne hi ped khof-e-khizaan se ujad gaye
kuch barg-e-sabz waqt se pehle hi jhad gaye

kuch aandhiyaan bhi apni muawin safar mein theen
thak kar padaav daala to kheme ukhad gaye

ab ke meri shikast mein un ka bhi haath hai
vo teer jo kamaan ke panje mein gad gaye

suljhi theen gutthiyaan meri daanisht mein magar
haasil ye hai ki zakhamon ke taanke ukhad gaye

nirvaan kya bas ab to amaan ki talash hai
tahzeeb failne lagi jungle sukar gaye

is band ghar mein kaise kahoon kya tilism hai
khole the jitne qufl vo honton pe pad gaye

be-sultanat hui hain kai unchi gardanen
baahar saroon ke dast-e-tasallut se dhar gaye

कितने ही पेड़ ख़ौफ़-ए-ख़िज़ाँ से उजड़ गए
कुछ बर्ग-ए-सब्ज़ वक़्त से पहले ही झड़ गए

कुछ आँधियाँ भी अपनी मुआविन सफ़र में थीं
थक कर पड़ाव डाला तो ख़ेमे उखड़ गए

अब के मिरी शिकस्त में उन का भी हाथ है
वो तीर जो कमान के पंजे में गड़ गए

सुलझी थीं गुत्थियाँ मिरी दानिस्त में मगर
हासिल ये है कि ज़ख़्मों के टाँके उखड़ गए

निरवान क्या बस अब तो अमाँ की तलाश है
तहज़ीब फैलने लगी जंगल सुकड़ गए

इस बंद घर में कैसे कहूँ क्या तिलिस्म है
खोले थे जितने क़ुफ़्ल वो होंटों पे पड़ गए

बे-सल्तनत हुई हैं कई ऊँची गर्दनें
बाहर सरों के दस्त-ए-तसल्लुत से धड़ गए

- Aanis Moin
3 Likes

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aanis Moin

As you were reading Shayari by Aanis Moin

Similar Writers

our suggestion based on Aanis Moin

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari