chale hain hind ke sainik zafar ko | चले हैं हिंद के सैनिक ज़फ़र को

  - Ajeetendra Aazi Tamaam

chale hain hind ke sainik zafar ko
kata lenge jhukaayenge na sar ko

ki sukhe tund par lagte nahin fal
gira do kaat do ab is shajar ko

nahin ustaad koi unke jaisa
jo samjhaaye sukhun ke har bhanwar ko

ghazal hai muntazir islaah ko ik
milo gar tum to ye kehna samar ko

do roti aur bas kapda makaan ik
nahin kaafi o deewane guzar ko

tujhe ladna hai pratipal zindagi se
mila nazrein dara de apne dar ko

juda hokar vo dekho ik safar se
chala hai dil mera phir ik safar ko

mohabbat ke mareezon par meri jaan
taras aaye har ik deewaar dar ko

dawaayein fel hoti ja rahi hain
sabhi milkar dua bhejo asar ko

main apni zindagi mein aisa uljha
lagi deemak mere dast-e-hunar ko

tumhein gar surkhr-ru hona hai yaaro
jala do phoonk do dil ke nagar ko

चले हैं हिंद के सैनिक ज़फ़र को
कटा लेंगे झुकाएँगे न सर को

कि सूखे टुंड पर लगते नहीं फल
गिरा दो काट दो अब इस शजर को

नहीं उस्ताद कोई उनके जैसा
जो समझाए सुख़न के हर भँवर को

ग़ज़ल है मुंतज़िर इस्लाह को इक
मिलो गर तुम तो ये कहना "समर" को

दो रोटी और बस कपड़ा मकान इक
नहीं काफ़ी ओ दीवाने गुज़र को

तुझे लड़ना है प्रतिपल ज़िंदगी से
मिला नज़रें डरा दे अपने डर को

जुदा होकर वो देखो इक सफ़र से
चला है दिल मिरा फिर इक सफ़र को

महब्बत के मरीजों पर मिरी जाँ
तरस आये हर इक दीवार दर को

दवाएँ फेल होती जा रही हैं
सभी मिलकर दुआ भेजो असर को

मैं अपनी ज़िंदगी में ऐसा उलझा
लगी दीमक मेरे दस्त-ए-हुनर को

तुम्हें गर सुर्ख़र-रू होना है यारो
जला दो फूँक दो दिल के नगर को

  - Ajeetendra Aazi Tamaam

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajeetendra Aazi Tamaam

As you were reading Shayari by Ajeetendra Aazi Tamaam

Similar Writers

our suggestion based on Ajeetendra Aazi Tamaam

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari